BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

June 24, 2014

Yaadein, toh aise yaad aate hain (28th May 2014)

किसी अंजान शहर की कोई गुमनाम गली के
बगल में ठहरा एक अंधेरे मकान में 
एक बूढ़े इंसान के मुर्झाते साये में
खेलते दो बच्चों के किल्काडियों को सुन
दादाजी के शॉल की खुशबू, या फिर
छज्जे पर नींबू-शरबत पीने के वह
सांझे का ढलता सूरज याद आता है, 
यादें तो ऐसे याद आते है… 

किसी नये दोस्त के आवाज़ के सिलवटों में
तीसरी क्लास का बेंच वाला साथी,
और restaurant में नज़दीक के टेबल पर बैठा 
अजनबी की आँखों में, ग्यारहवी का 
वह प्यार याद आता है, और रंगीन 
एक शाम की मदमस्त जवानी में 
एक birthday के शाम का शोरगुल, माँ की आवाज़,
और तालियाँ भी याद आते है… 

Hostel के सीढ़ियों से छत पे चढ़ते वक़्त,
एक पेड़ के झलक से, बचपन के आम का पेड़,
उसपे चढ़ना, और फिर गिरना याद आता है,
और नशे में डूबे वीरान रातों में,
पुराने गीतों के Youtube-y मुदाख़िलात से,
एक अर्से की भूली हुई, यादों के किसी गुमराह
कोने में बसी लोड़ियाँ याद आते है,
हाँ, यादें ऐसे ही याद आते है…    

****************************************************************************************
 
**************************************************************************************** 
Kisi anjaan sheher ki koi gumnaam gali ke
Bagal mein thehra ek andhere makaan mein
Ek boodhe insaan ke murjhaate saaye mein
Khelte do bachchon ke kilkaariyon ko sun,
Dadaji ke shawl ki khushboo, yaa toh phir,
Chhajje par nimboo sharbat peene ke woh
Saanjhe ka dhalta sooraj yaad aata hai..
Yaadein toh aise yaad aate hai.

Kisi naye dost ke awaaz ke silvaton mein
Teesri class ka bench waala saathi,
Aur restaurant ke nazdeek ke table par baitha
Ajnabee ke aankhon mein, gyarhvi ka
Woh pyaar yaad aata hai, Aur rangeen   
Kisi shaam ki madmast jawaani mein,
Ek birthday ke shaam ka shorgul, maa ki awaaz,
Aur taaliyan bhi yaad aate hai. 

Hostel ke seedhiyon se chhat pe chadhte waqt 
Ek pedh ke jhalak se, bachpan ke aam ka pedh,
Usspe chadhna, aur phir girna yaad aata hai,
Aur nashe mein doobe viraan raaton mein,
Puraane geeton ke Youtube-y mudakhilat se
Ek arsey ki bhooli huwi, yaadon ki kisi gumrah
Kone mein basi loriyan yaad aati hai.
Haan, yaadein aise hi yaad aate hai. 

No comments: