BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

March 4, 2014

Gumraah

Khabar hai ki, jisko humne ek arsey se
Bade dhyan se dekha tha,
Woh jo galiyon se guzar kar,
Raat ke siyaah aasmaan ko
Shawl ki tarah odhkar,
Bade hi naazuk kadmon se,
Humaare muhalle ko aata tha,
Woh jo tanha aa kar,
Khwabon ko jagaa kar,
Humaare angon ko sulagata tha...

...Woh aaj, humse naraaz,
Kahiin chhupkar baitha hai,
Humaari adhoori kahaani ko
Bin muqammal chhod,
Humaara woh chaaNd aaj
Gumrah ban baitha hai.

************************************************

ख़बर है की, जिसको हमने एक अर्से से 
बड़े ध्यान से देखा था,
वह जो गलियों से गुज़र कर,
रात के सियाह आसमान को
शॉल की तरह ओढ़ कर,
बड़े ही नाज़ुक क़दमों से 
हमारे मोहल्ले को आता था,
वह जो तनहा आ कर,
ख्वाबों को जगा कर,
हमारे अंगों को सुलगाता था... 


...वह आज, हमसे नाराज़,
कहीं छुप कर बैठा है, 
हमारी अधूरी कहानी को
बिन-मुक़म्मल छोड़,
हमारा वह चाँद आज गुमराह बन बैठा है ॥ 

No comments: